Kruti Dev to Unicode Hindi Font Converter
मंगलवार, 10 फ़रवरी 2009

Ek Sachhi kahani

Please friends,, ise achhi tarah se padhna... completely padhna..

Ek din, mein dilli pahuncha, Station pe ek coolie se bahar jane ka rasta pooncha, Coolie ne kaha bahar jaake poocho. Maine khud hi rasta doondh liya,
Bahar jaake taxiwale se pooncha, "bhai saab Aagre ka kitna loge?" Jawab mila, "bechna nahi hai.." Taxi chhod, maine bus pakad li, conductor se pooncha, "ji.. kya mein cigarette pi sakta hoon?" Wo gurrra kar bola, "hargiz nahi, yaha cigarette pina mana hai" Maine kaha, "par wo janab to pi rahe hai!" Phir se gurrrraya, "usne mujhse pooncha nahi hai"
Aagre pahucha, hotel gaya. Manager se kaha, "mujhe room chahiye, satve manzil pe" Manager ne kaha, "rahane ke liye ya koodne ke liye?" Room pahucha, waiter se kaha, "ek paani ka gilas milega." Usne jawab diya, "nahi sahab, yaha to saare kanch ke milte hai."
Hotel se nikla dost ke ghar jaane ke liye, Raste me ek sahab se pooncha, "janab, ye sadak kaha ko jaati hai?" Janab hans kar bole, "peechle bees saal se dekh rahan hoon, yahi padi hai…."
Dost ke ghar pahucha, to mujhe dekhte hi chownk pada Usne poocha, "dilli kaise aana hua?" Ab tak to mujhe bhi aadat pad gayi thi, to maine bhi jawab diya,"Train se.."
Meri aaobhagat karne ke liye dost ne apni biwi se kaha,"areeee sunti ho… mera dost pehli baar ghar aaya hai, uuse kuch taja taja khilao.." Sunte hi bhabhiji ne ghar ki sari khidkiya aur darwaje khol diye. Kaha, "taji hawa kha lijiye."
Dost ne phir se badi pyar se biwi se kaha, "areeee sunti ho…inhe jara apna chalis saal purana aachar to dikhana." Bhabiji ek balti me rakha aachar le aayi, Maine bhi apnapan dikhate hue bhabiji se kaha, "bhabhiji, aachar sirf dikhayengi, chakhayengi nahi….?" Bhabiji ne taak jawab diya, "yuhi agar sab ko chakhati to aachar chalis saal purana kaise hota..?"
Thodi der baad dekha, bhabiji apne pote ko soola rahi thi, Saath me lori bhi ga rahi thi, "diploma so ja, diploma so ja." Lori soon mein hairan hua aur dost se poocha, "yaar ye diploma kya hai?" Dost ne jawab diya, "mere pote ka naam, Beti bambai gayi thi, diploma lene ke liye aur saath mein ise le aayi, isiliye hamne iska naam diploma rakh diya."
Phir maine pooncha, "aajkal tumhari beti kya kar rahi hai?" Dost ne jawab diya, "bambai gayi hai, degree lene ke liye…."

hahahahhah.. so friends.. kaisi lagi.. Dilli ki kahani ?? dont forget to reply me.. please i am waiting for your reply..

0 comments:

एक टिप्पणी भेजें

 
Template Design By:
SkinCorner